Umra ka Tarika Step by Step Guide in Urdu
Is page pr Umra ka mukmmal tarika Sunnat ki roshni mein asaan alfaz mein bayan kia gia hy.
Umrah ka tarika
Ehram aur niyyat
Umrah ka tarika . shuru mein ehram bandha jata hy or us ky sath niyyat ki jati hai awr sath mein aik martabah talbiyah parhna frz hota hy .Mard ehram ki do chadrein pehantay hain aur auratein apna saada libas pehanti hain. Phir dil mein Umrah ki niyyat kar ke Talbiyah parhi jati hai: “Labbaik Allahumma Labbaik….” Is ke baad haram ki hudood mein dakhil hotay hi fazool baaton aur gunahon se bachna zaroori hota hai.
Tawaf aur do rakat nafl
Masjid-e-Haram pohanch kar sab se pehla kaam Khana-e-Kaaba ka Tawaf hai. Tawaf mein Kaaba ke gird saat chakkar lagaye jatay hain,. Har chakkar Hajr-e-Aswad se shuru hota hai. Tawaf ke dauran dua, tasbeeh aur zikr ki ijazat hoti hai. Tawaf mukammal honay ke baad Maqam-e-Ibrahim ke qareeb do rakat nafl ada ki jati hain.
Safa , Marwa ky saat chukker
Is ke baad Sa’i ki jati hai jo Safa aur Marwah ke darmiyan saat chakkar hotay hain.. Sa’i ke dauran bhi dua aur Allah se madad maangi jati hai.
Halq ya Qasar
Sa’i mukammal honay ke baad aakhri amal Halaq ya Qasar hai. Mard sar ke baal poori tarah mundwate hain, jab ke auratein sirf baalon ka chohtai sar ka hissa aik poory k braber kaat ti hain . Is ke saath hi Umrah mukammal ho jata hai.
